Journey from Vashi to Murud:
Faiq Fouzdar---->Sumo---->Best Wishes--->Drinks---->Dinner---->Murud
------------------- ----------------------------------- -----------------------------------
FlashBack:
Picnic ki planning ke waqt , night stay ke liye booking was most important.Humne MURUD main stay ke liye WikiMapia se Faiq Foujdar naam ke ek aadmi ka fone number nikala and use contact kiya and hamari booking ki.Atleast 20 fones lagaye honge humne.Humne online money transfer ki thi .For checking Faiq ko humne 20rs transfer kiye the.Tabhi woh bola rahega in logon ne advance diya hai ya mayat ka chanda. Ok So jab hum nikle to Driver (Prasad) ke saath aage main(Yogesh) baitha tha. Beech mai Sandesh, Pawan and Omkar and Last main Sunil Tayade and Krish. Yeh samaj mai nahi aaya ki Sandesh ne raat main kale googels kyun pehne the and itni raat main usko dekhne kaun aane wala tha.Sumo main hum logon ne Ganesh Pathak ko bahut gaali di. He was the only drop out from our first and final list.
Hamari Sumo and Sumo ke Saath Hamaro Model Sandesh
Kajal ne humko west wishes ka sms kiya.
Ab peene walo ko peene ka bahana chayiye, gaadi jaise hi PANVEL pahunchi sab ko pyaas lagne lagi To kya tha Gaadi rukhi and Beer and Whisky lene pahunche sab log.Phir kya tha Gaadi main
Dhoom Machale Dhoom.
Hard Core Drinkers(in short Bewde)
Sab log office se direct nikle the Panvel se aage humne thodi der par ek chinese khane ke liye ke open space par gaadi rukhayi
Ab sabko bhuk lagi thi .Hamesha ki tarah khane par sabse jyaada najar meri hi thi.Abhi Peena bhi ho gaya tha sabka.Maine pehle hi bol diya please lets not go to any hotel, lets eat at a road side dhabba.Sandesh ne last trip main ek jagah khana khaya tha.So humlog usi dhaabe par uthare .
We were the only customers there.Scene aacha tha ek uncle jinka peth bada tha , ek aunty ke saath baithe the aur unke 2 baache ek ladka and ek ladki mast soye the.Hamara order sunenge to tum logon ko idea ki hum sab kitne bhooke aur confused the .Sabse pehle ek chicken lollypop, then ek aur lolly pop , then 2 chicken fried rice and 2 chicken triple schewan and then 1 lollypop parcel with 1 chicken fried rice and 1 chicken triple rice plate.Khana itna tasty tha and chicken itna fresh tha ki abhi likhthe likhthe moonh main paani aa gaya.
Fun on The Run (Dhabba)
Sach main itna fresh and lively tender chicken bahut kam khaya hoga humne.
Waha ke jo owner uncle the woh mast aadmi tha.Woh English main baat kar raha tha , apne ladke ko bhi usne English main instructions diye.Mast tha ekdum.Uski wife ko maine kaku, tayade ne mawshi and kisi aur ne Aunty bola , aur fhir kya tha khane main discount bhi mil gaya.Omkar ne owner ke ladke ka neend main jhapkiyan lete huye mast video nikala hain.Video itna aacha hain ki usse Funniest video main bhej sakte hain
Dhabbe wale Uncle ke do cartoons
Aur fhir atlast gaane sunte sunte, 4 ghante ka lambha raastan tay karte karte hum pahunch hi gaye MURUD.Ek police wale ne humein right rastan bataya. Pehli baar kisi police wale ko kuch aacha kaam arte huye dekha, aankhen trupt ho gayi.Raat ko jab MURUD gaye to Faiq Foujdar ne humein jo map diya tha woh kaam aaya.Bande ne itne aache se rasta bataya tha ki woh project manager ban sakta hain,Woh nahi bana to senior software engineer to ban hi jayega :).Map se yaad aaya aisa lag raha tha ki picnic ke liye sab band-baja wale log jaa rahe hain.Sabne ek hi bag li thi "Apne Company " ki Diwali main gift mili thi woh bag.Sab faltu cheejein uppar rakhi thi and jo important map tha woh 5 look a-like bag me se kisi ek bag ke chain tha, 15 minute lage map dhundne.
Aur at last hum pahunch hi gaye "Apna Ghar".Raat lambhi thi, mahol suhana,doston ka saath,jaam bhi tha and aur ek Alishan Thikana...Fhir kya hua ....??Thoda Sabra kijiye
MURUD main APNA GHAR
1 comment:
u fool do some work
Post a Comment